----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Muddat Baad Aaj Fir Se Unka Deedar Hua
Yun Laga Zinda Mere Seene Me Dafan Mera Pyaar Hua…
Shayad Dua Me Asar Ho Gya Meri Is Kadar
Ke Khatam Meri Tanha Zindagi Ka Intzaar Hua..
Firse Chaahat Si Ho Gyi Zinda Rehne Ki Aye Dosto
Jaise Mujhko Firse Zindagi Se Pyaar Hua…

---------------------------------------------------------------------------------------------
Naadan Hai Mujhe Patthar Dil Bataane Waale
Shaayad Bhul Gaye Hain Ek Baat Ye Zamaane Waale
Patthar Ki Keemat Un Haathon Se Pucho…
Taraash Ke Tajmahal Bana Gye Jo Banaane Waale
Shaayad Bhul Gaye Hain Ek Baat Ye Zamaane Waale
Patthar Ki Keemat Un Haathon Se Pucho…
Taraash Ke Tajmahal Bana Gye Jo Banaane Waale
---------------------------------------------------------------------------------------------
Ye Dil Udaas Hai Bas Ek Pal Ko Aao Tum
Qareeb Aa Ke Hume Fir Se Aazmao Tum
Khata Hai Meri To De Do Koi Saza Mujhko
Ye Kab Kaha Ke Mujhe Tanha Chhod Jaao Tum
Teri Qasam Ne To Marne Bhi Na Diya Mujhko
Mere Wujood Pe Itna Sitam Na Dhaao Tum
Musarraton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye ‘Alam’
Chirag-E-Aarzoo Ko Ab To Na Bujhao Tum
---------------------------------------------------------------------------------------------
Kabhi Kehta Tha Mujhe Ke Koi Duaa Hoon Mai
Aaj Wo Keh Gya Mujhko Ki Bewafa Hoon Mai..
Wo Jee Na Paata Tha Lamha Kabhi Bagair Mere
Aaj Kehne Laga Mujhko Ki Ek Sazaa Hoon Mai..
Yahi Dastoor Hai Aur Aisa Hi Hota Aaya
Lagi Maashuq Ke Mehndi Aur Aashiq Rota Aaya..
Magar Riwaaz Bhi Ye Ulta Kar Diya Maine
Bina Chaahat Kisi Ki Maang Bhar Diya Maine..
Kiya Hai Jo Bhi Ispe Khud Se Hi Khafa Hoon Mai

Woh Pyaar Hi Kya
Jis Mai Dil Daar Ke Liye Qurban Na Ho
Woh Khumaar Hi Kiya
Jis Ne Madhosh Kar Diya Sab Ko
Hum Toh Raah Main Behte Hain Unke
Ke Kabhi Na Kabhi Hume Unse Pyar Toh Ho

Uss Khuda Ke Hatoon Ka Jadu Ho Tum
Din Mai Chamakta Sitara Ho Tum
Raat Mai Chandni Jaisi Roshni Ho Tum
Mere Dil Main Basi Ek Shayri Ho Tum
Din Mai Chamakta Sitara Ho Tum
Raat Mai Chandni Jaisi Roshni Ho Tum
Mere Dil Main Basi Ek Shayri Ho Tum
---------------------------------------------------------------------------------------------
Mai Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Kadam Pe Toota Dil Mai Isko Samjhaata Chala Gaya
Fir Bhi Pyaar Aur Dosti Ko Dil Se Nibhaata Chala Gaya
Kabhi Waada Kiya Tha Tumse” RAJAN” Ne Naa Aansoo Bahaaney Ka…
Mile Zakhm Bhi Dil Pe To Muskuraata Chala Gaya
Mai Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya…
---------------------------------------------------------------------------------------------
Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish,,
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay..
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay..
---------------------------------------------------------------------------------------------
Najane kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chhor gaya…
---------------------------------------------------------------------------------------------
Khud bhi udas rehta hai mujhse khafa ho kar,
Iss tarah bhi woh shakhs mujhe chahta hai…
---------------------------------------------------------------------------------------------
Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye

Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye

Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye

Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye

Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye

Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye
---------------------------------------------------------------------------------------------
Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai

Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ney wo mere liye hi bana “rakhi” hai

Kehtay hain k “rakhi” hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene "rakhi” se laga "rakhi” hai

Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai

Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht "rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.
Kambakht "rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.
---------------------------------------------------------------------------------------------
Dukh dard k maron se mera zikar na karna
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment