------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Beqarari Meri dekh li hai to ab Zabt bhi dekhna,
Itna khamosh Rahungi Main ke cheekh Utheyga Tu…
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ab khud wo mere haal pe ro deta hai aksar,
Pehlay ki trah ro ke rulana nahin padta…
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Bedaad-e-ishq se nahi Darta magar ‘Asad’
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahi raha…
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Usne raat ke andhere me meri hateli pe apni ungli se likha tha,
mujhe pyaar hai tumse,
Jaane kaisi syaahi thi, ki woh, lafz mite bhi nahin aur aaj tak
dikhe bhi nahi…
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Waqt ke sath badalne ka hunor to har koi rakhta hai,
Maza to tab hai waqt badal jaye par insan na badle…
Kaagazon Ki Sab Siyaahi Baarishon Me Dhul Gai,
Ham Ne Jo Socha Tere Baare Me Sab Bekaar Tha…
Teri Bheji Hui Tehreeron Ka Kabhi Donga Tujhe Jawab,
Bus Kisi Apne Ki Di Hui Thokar Se Sambhal Jaon Zara…
Kaash ke ab ek baar wo ye keh de,
Aao ke Main tanha hoon,Teri tarah, Tere liye…
Jitni shiddat se mujhe zakham diye hain us ne ,
Itni shiddat se to main ne usay chaha bhi na tha…
Hume likh kar kisi lamhe me kahin mehfuz kar lo tum,
Tumhari yaad se dekho Nikalte Ja rahe hain hum…
Mere Honthon Pe Apni Pyaas Rakh Do Aur Phir Socho,
Ki is Ke Baad Bhi Duniya Me
Kuch Paana Zaroori Hai…
Saliqaa Hi Nahin Shaayad Use
Mehsoos Karne Ka,
Jo Kehta Hai Khuda Hai To Nazar Aana Zaroori Hai…
Khud Hi Roye aur Ro Kar Chup Ho Gaye,
Yehi Soch Kar Ke Aaj Koi ”APNA” Hota To Rone Na Deta…
Kya khulus se kaha ‘na’ meri mohbbat ko usne,
Ek hurf me mera muqadar likha ho jiase…
Ab to barish me bhi Us ko Meri yaad nai aati,
Badalon ke garajne par jo lipat jata tha Mujhse…
Har Kisi Ki Zindagi Ka Ek Hi Maqsad Hai,
Khud Bhale Ho BEWAFA Lekin Talash WAFA Ki karta Hai …
Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum,
Bahut se kaam muqaddar pe
taale rakhte hain…
Aaa ki ab to ehsaas bhi maar rahe hain,
Har ghazal adhuri tere aane
tak hai…
Uski Ankho Me Bhi Ab Har Waqt Halki Si Nami Rahti Hai,
Jiski Har Baat Hoti Thi Auro
Ko Hasane Ke Liye…
Afzoun Ki tamheed Mujhay Bandhni Nahi Atii,
Hum Tum Ko Yaad Kerte Hain
Seedhi Si Baat Hai…
Wo to milta hai mahdood se lamho me mujhko,
Phir bhi dil hai ki kitni
fursat se sochta hai use…
Kharid sakate to use apani zindagi de kar bhi kharid lete,
Par kuch log kimat se nahi
kismat se mila karte hai…
Mujhe malum hai ki main uske bina ji nahi sakti,
Uska bhi yahi haal hai magar
kisi aur ke liye…
Mujhe shaq nahi hai uski mohabbat pe,
Magar mujhse hi karta to aur
baat thi…
Kafir hue the jisaki mohabbat me hum,
Kal wahi shakhs kisi aur ke
liye musalman ho gaya…
Kuch isliye bhi tumse mohabbat hai,
Mera to koi nahi hai tumhara
to koi ho…
Mohabbat to vo pahli hi mohabbat thi,
Iske bad to har shaks me
dhundha usko…
Laakh ye chaha ke usko bhool jaoun,
Magar HOSLE apni jagah aur
BEBASI apni jagah...
Meri Chahat Ko Mere Halaat Ke Tarazu Me Kabhi Mat Tolna,
Maine Wo Zakham Bhi Khaye
Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The…
HAMARI TO WAFA BHI TUMHE
GAWARA NAHI,
KISI BEWAFA SE NIBHAOGE TO
BAHOT YAAD AYENGE HUM …
WO TO KUCH HO HI GAYI TUM SE
MOHABBAT WARNA,
HUM WO KHUDSAR HAIN KE APNI
BHI TAMANNA NA KRE….
Kis ki Kya majal thi jo koi Humko kharid sakta,
Hum to khud hi Bik gaye
kharidar dekh kar…
Kisi Bewafa Ki Khatir, Ye Junoon Faraz Kab Tak,
Jo Tumhe Bhula Chuka Hai,
Usse Tum Bhi Bhool Jaao…
Use Mohabbat me dhokha to hum bhi de sakte the e-dost,
Magar Raghon me dordti wafa
se Baghawat nhi hoti…
Yeh Na Socha tha Humne kabhi Kisi ko is Qadar Chahenge,
Wo Hans Kar Zakham De Denge
aur Hum Zindagi Gawa Denge…
Mat talaash kar meri zaat me aib,
fakat itna keh de ki main
tere kaabil na rahi…
Tum poocho aur main na bataaun aise to haalaat nahi,
Ek zaraa sa dil toota hai aur
to koi baat nahi…
Aur Yakeen dilaane ki Zaroorat kahan se hoti,
Hichkiyaan Naam ke saath aati
toh kya baat hoti…
Tera na ho saka to mar jaunga,
kitna khoobsurat wo jhuth
bolta tha…
Samandar se kah do Apni mohje sambhal kar rakhe,
Zindagi me toofan lane k liye
be-wafa log hi kafi hain…
Sakoon ka ek lamha bhi nahi mayassar mujhko,
Mohabbat ko sulati hoon to
nafrat jaag uth'ti hai…
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment